Dur hain toh kya
Jahan ki kai nazdeekiyon se zyada khas hain
Nazron k samne nahi toh kya
Man k kone me har pal dekhne ki aas hai
Din bhar kano me padti awazon k shor k bad
Wo ant me char lafzon ki garmaahat ki kuch alag hi bat hai
Samjha toh na paye kisi ko kaisi ye chah toh kya
Uljhaon k is jaal me bhi lage yun ki sukun ka sath hai
Jane anjane takraahaten hain toh kya
Thoda satane ki thoda manane ki fir se hasane ki bhi toh pyas hai!
Dur hain toh kya
Jahan ki nazdeekiyon se zyada khas hain!!

No comments:
Post a Comment